Tuesday, March 24, 2009


Masti ki pathshalaBatch 2007-09 (Dedicated to all the Mass Communists who formed one big, happy family)

Purane notesAur seminar

Department ki who lab Aur mere yaar

Woh Nescafe pe coffee peena

Woh jaana picture Hamesha saath

Woh baaton baaton pe milkbar jana

Wahan par khelna truth or dare

Woh raaton ko sms karna

Pahunchna class hamesha late

Woh Shahzad ka gaane sunana

Asad ka kehna Ultimate!

Woh camera lekarTashan mein chalna

Dikhana Mass Com Yahi hai yaar!

Bas yaadein, yaadein,Yaadein reh jaati hain

Kuch choti choti Baatein reh jaati hain

Bas yaadein…..

Woh Ashiya ka silent mode

Saba ka rustics pe jharna roab

Shakoor ka poochna ghari ghari score

Jeelani ka ghussaAur “sipring role”

Woh Yasir ka“ Suniye na..!”

Aur Asma ka “ Haan nahi to!”

Jacob ka harpal“Okay” kehna

Woh Zaigham bhai ki Baaton ki train

Woh Nasir kiLiterary baatein

Woh Reema ka Mast andaz

Creative baaton pe Larai karna

Woh apna rockyZ & Z ka saath!

Bas yaadein, yaadein…………….

Post modernism kay Professor Haider

Aur apna Sabir Department ka don!

Woh class mein baith kar TV dekhna

Woh kehna “bhai-bhai Khoilye lab! “

Afreena ma’m ka “You see” kehna

Ye iska ye haiYeh hain Sahu sir

Woh Shafey sir ke “Cumbersome expressions”

Pradhan sir ka kehna“Ye hai worst class!”

Durrani sir ka Hamesha kehna “Arre bhai aap logeKariye kuch kaam”

Production month mein TM ke dhaabe

Woh khaana rooftop pe Teen baje raat !

Bas yaadein, yaadein……………………

Woh milkar orkut pe Photos lagana

Who jaana peene ko Juice har baar

Numaish mein jaake Jhoole jhoolna

Woh karna boatingWoh paani ki war….

Woh jaanat-paasbook ki Larai hardam

Woh karna keertanDepartment kay paar

Woh Faasil ka Aisa ka deesa

Woh Salih ki Khamoshi Use mat bhoolo

Shagufta dopesheet Aur apna Amir Left right left

Haan apna kya hai

Bhai “ Ham nahin hain!”

Jo ho bas tum ho Tumhi apna pyaar!

Bas yaadein , yaadein……………….

Aisa yaadon ka Mausam chala

Bhulta hiNahin dil mera

Khan mere notes Kahan seminar

Kahan meri class

Aur mere yaar………………

To all my classmates ,

Lots n lots of love

Zehra Naqvi

1 comment:

  1. nice poem... but please apni sharafton ko yun sarvjanik karne ka kashtprad karya sampann karne kii kya awashyakta thii????

    ReplyDelete